Monday 30 November 2015

Nawabon ka shàhar Lucknow

Lucknow Waxes Lyrical With Love




    Wrapped in sequins-stars/Tied up with sunny ribbons, Unfold the gift of Nawabi Lucknow/Spilling the itr of tehzeeb Domes, towers, minarets/Haats, bazaars, melas Honey-tongued nazo-andaaz/Sizzling fast food thelas The pehle-aap nazakat, nafasat/Mujra, kawawalli, sawal jawab Shama-parwanas of Ganj/Adab, adaab, biryani, kabab Wah! Shaan-e-awadh, wah!/You’re truly la-jawab.

    - Atul Chandra Sarkar

    Woh pehle-aap ki tehzeeb ab kahan Gomti pe raqs karta khwaab ab kahan Ganj mein ganjing bhi jaate janaab hain Mir woh aab-o-hawa mehtaab ab kahan Chhin gaye purses, sabhi chehre kabaab the Nawaab kurta silk pehne taab ab kahan

    - Anwar Zaidi

    Do paat Gomti ke, do bahein si pasaare Do qaum ke hain milte, adhbhut yahan nazaare Hai guman mujhko, Lucknow ki shaan pe Koi khalal nahi hai, aarti-azaan se Ye adab ki nagri, tehjeeb laazmi hai Aadab bhi hai karte, hum mizaaj jaan ke Shaam-e-Awadh me ab bhi baki hai kuch nazakat Aao hamari nagri, itminaan se

    - Kuldeep Tiwari

    Aisi tehzeeb hai hamari ki nawab mante hai log, Rehte hai Ganj me aur duaa mangte hai log, Aur janab kya kahe pehle aap hi bata dijiye? Gomti kinare Lucknow ko jannat mante hai log

    -Abhitosh Mishra

    Tehzeeb 'pehle aap' yahan /Gomti ki vibes hain Tafreeh doston ki, /Aur marine drive ki fl ights hain / Chikankari ka fashion yahan, / Bhulbhulaiya ke jharokhe hain, Swad kebab ka evergreen,/ Ganj ki raatein ultimate scene hain Nawabo ka basera hai, / Hai khatirdari wow! Tashreef rakhiye janab, / Aur enjoy your Luck now !!

    - Shefali Singh

    Oh! woh Gomti ka kinara badal gaya marine drive se / Ganj ki ganjing badal gayi saharaganj se / Janaab pehle-aap ki tehzeeb badal gayi tu-ruk-pehle-main-se / Nawabo ke woh galawati kebab badal gaye milawati kebabo se / Oh! kaha gaya mera Awadh!

    - Adwityaa Jha

March 21 was World Poetry Day. And, TOI had asked all those with a poetic bent of mind to pen poems on the city, using words characteristic of Lucknow. We were overwhelmed by the response from you. Today, we share some of the many poems we received from you. Look out for more in the next few days. Shehr-e-Lucknow, salaam ...

    Lucknow, a great city, situated on the banks of river Gomti, Mainly known for its tehzeeb, left by Nawabs of Lucknow The Ganj famous for Ganjing, and how can we forget about delicious kababs! And most important the language like “pehle aap janaab” which typically sounds like a Nawab

    - Reda Zahra

    Nawabi hai pehchaan hamari / Tehzeeb hai iski shaan hamari Gomti ka behta paani jaan hamari / Kababon ke bina adhuri shaam hamari Shaam ko Ganj me Ganjing pasand hamari Pehle-aap kehna ada hamari .....Phir bhi na samjhe janaab, yeh Lucknow hai hamari!!

    - Farha Khan

    Aadab----aaiye janaab, yeh hai Awadh ke nawaab Tehzeeb inke sar par sawaar aur muhh me inke kebab / Karte hamesha ‘pehle aap, pehle aap’ Ganj ki ganjing ho ya Gomti ki baahar Dekhte hai har roz yeh khwab.. Aaiye janaab, yeh hai Awadh ke nawaab

    -Dr Nishant Kanodia

    Tera nahi koi jawab Lucknow, Tehzib hai teri bemisal Lucknow, Famous hai tere Kebab Lucknow, Ganj ki Ganjing me hai shaan Lucknow, Yahan Rikshaw-Wala bhi bolta hai Janab, Lucknow, Har taraf dikhti hai nawabi tehzeeb ki khushbu Aur Gomti hai hai teri pehchaan Lucknow Har taraf hai tere imarat, meenar o Gumbad Khubsurti hai teri Laajawaab Lucknow.

    - Tehaseen Jehara

    Lucknow a city of nawabs Full of culture and famous for aadabs We took long strides on the road of Ganj Did ganjing all night Night and day, we couldn’t forget those days The days were memorable Peoples were full of tahzeeb How can we forget those special kababs The feeling of pehle aap, pahle aap And zara tashreef to rakhiye janab The holy Gomti river gave us a lot Today what we are, only because of him The city of nawabs, so call in unison Zara muskuraiye ki, Lucknow me hain aap Lucknow the city of nawabs

    - Rohit Singh

    Lucknow sheher ki kuch alag hi hai baat Aur sheheron se hain ye khaas. Yahan ki tehzeeb aur boli hain niraali, shamein hoti hain badi matwaali Woh ganj ki masti, wo khana thele ki chat sasti Woh ganjing ke naam pe, bina manzil ke, dosto ke saath tehelna Woh chhedilal k samne, gubarro ke saath bachho ka khelna / Wo picture k baad jana Gomti Nagar ke marine drive, / Woh ice-cream kaun khilayega iss baat ki fight / Woh nawabo ke time se chalta aa raha / Kehna ‘janab, pehle-aap’, Woh dur dur sheheron se logo ka aana / Khane ke liye Tunday ke kabab / Woh Aminabad ki raunaq, / woh Eid ke time pe choodiyon ki khanak Wo sharma ke samose aur chai, wo lucknow ki ladkiyon ki aadayen. Lucknow sheher ki alag he hai baat Aur sheheron se hain ye khaas

    - Pooja Mansukhani

    See the city of famous deeds, You may be of any caste or creeds, The art of living is its tehzeeb”, ganj and ganjing is best and cheap / Dignity of this city of “nawabs” / Delious food of this city is kabab We term everyone respectfully janab Don’t forget the slogan “pehle aap, pehle aap”, River Gomti throws the shadow of love, May God keep its peace and love!

    - Ratna Bapuly

    Pehle aap, pehle aap karte rehte hain janaab Sunte hain sher aur shaayariya yahan ke nawaab / Aam ki madhosh karne waali khushbu hai ajeeb / Lucknow ke logo me Ganjing karne ki bhi he tehzeeb Ganj me khaaye jaate he trh trh ke kabab, Aur Gomti ke kinare hoti he logo ki kataar

    - Ayonija Mathur

    Sham-e-Awadh ka nazara ho / Ganj se ganjing kr lautoon to Gomti ka kinara ho / Tehzeeb aur nazakat me har aadmi nawab ho Janaab pehle aap kr gujhiya aur kebab lajawab ho / Zara zara kahkaho se santrangi ho Aman aur chain ki fir se bahar ho!

    - Rajshri Jha

    As I stood on the banks of Gomti I saw Chhote Nawab Moti, In his majestic Nawabi holding Toward Ganj he was heading, In a mood to do Ganjing. I called- ‘Janab, go have some Kebabs’ In Lakhnavi Tahzeeb andaz, he said ‘Pehle aap, pehle aap’

    - Savita Srivastava

    Gomti dekh tere sahil par, / Lucknow ek hai tehzeeb ka sheher, / Jiske baani hain nawaab, / saari masti ke liye sham-e-Awadh, aur ganjing ke liye Hazratganj, / Zayqe ke liye Tunde ka kabab, / Lucknow teri sharafat pe nisaar, / Ye takalluf kahin dekhi na janaab, Bolte sab hain yahan 'PEHLE AAP'

    - Nasir Abbas

    Tehzeeb laye the Lucknow mein nawab Ganj mein ganjing ka zamana phehle se hi hai la-jawab / Aap janaab hamesha se kehte aaye hain nawab, / Kababon mein hai tundey ke sabse mashoor kabaab, / Tameez aur tehzeeb mein ata hai phehle-aap, / Gomti ki raunak abhi bhi hai barkarar.

    - Saara Ada

    Chhod aaye hum woh Ganj, Jahaan khushboo thi hawaayon mein..... Jab chakhte hi Tunde kebab, samjhte the khud ko nawaab / Har jagah, har gali, har nukkad, bas tehzeeb thi fizaayon mein / Woh Gomti ka kinara, woh doston ka saath, woh janaab ka birthday, jab ganjing ki thi puri raat; Chhod aaye hum woh Ganj.................”

    - Ekta Singh

    Jiski tehzeeb mein hai pehle aap, pehle aap Aise sheher-e-Lucknow ka kya kehna janaab Ganj mein ganjing ka hai apnaa hi maza Khaiye paan ki gillauri aur kabaab Dariya-e-Gomti ki shaan ka kya zikr karein Dafn hain kitne nawaabon ki dastaan yahaan

    - Seema Singh

    Long-robed nawab, eating kebabs / In their havelis of Ganj / Ganjing with their begums in dusk Riding on Ekka near Imambara & flying kites / Influencing the world with their tehzeeb / Sharing their magnanity with pehle aap Addressing all with janaab / Is all lost in the history of Gomti 


      - Ashoo Mehrotra

No comments: